Jab bhi mein garibon aur bebaso
ko dekhta hoon, to mere dil mein eek Aah
ki lahar uthti hain…jab bhi unke saath Chai peeta hoon, to aisa lagta hain, ki
jaise puri duniya ki mithas isi chai ki cup mai aa kar jama ho gaye hain ;kintu
inlogo ko kabhi iska ahsas kyon nahi hone diya gaya ? Ye garib itne rahamdil
aur dayalu kyon/kaise hote hain ?
Fir ye bhi khayal aata hain -
Kya karein ?…. Kaise karein? Saala…
kabhi kabhi toh lagta hain ki zindegi bekar hain… itni garibi …hum kaise mitaye
aur fir ye bhi dhayan mai aata hain ki… Zindegi naa milegi doobara… mein aur
mera Pulsaar aksar ye baten karte hain…
“Ye garibi kaise mitaye? Ye
garibi kaise hataye ?”
“Sikhane-sikhane ki khawish lekar
inke pas aaye the; par yaha aakar ye ahsas ho gaya yeh to hum logen ke man ka
bharnti tha , yeh log to hum logo se kafi upar hain, in garibo ke pas dene ke liye
itna kuch hai par hum logo ke pas lene ki shakti hi nahi hai !! Duniyiwalon urf
saharwalo Keedo apne char-diwari se bahar niklo, dekho ye log kaise ji rahein
hai aur jine ki Mishal ban rahein hain .Unpar haso mat , unpar tarsho mat ,
yahein woh log hain jo is desh ko chala rahe hain .Tumhare muh mai jane wala
ann ka ek-ek dana inke mehnat aur pasino se sinch-sinch kar aata hain. “Tum jise carbohydrate aur protein samajhte ho
asliyat mai en garibo ka khun aur pasina hain !! “
Inko leke jo Rajneeti ke roti
senke jaa rahein hain… bhrastachar ka achaar banaya jaa rahan hain… yeh kaab
taak chalega? Indira Gandi ne “Garibi Hatao” chillate chillate swarg sidhar
gayi… abhi Rahul Gandhi garibo kaa
messiah ban gayee hain… lekin pata nahin, yeh garibi ko mitane mein Gandhi
parivaar ki kitni peediyaa gujar jayenge… kabhi kabhi toh mein aasamanjaash ki
sthiti mein pahuch jata hoon ki yeh log garibi mita rahein hain? yaa badha rahein
hain?
Hum toh inhe jeena sikhane aaye
the… kintu parantu bandu, abhi lagta haain, ki mere aapne aatma ki suddhi, aur
apne jivan ka punarjnaam kar ke wapas jaa rahan hoon…
Note of Gratitude: Thanks to Prabhat Kumar for his enormous assistance
and DDS insights in helping me write this, especially in Hindi… this post is not a
reflection on people’s poverty and our romanticism surrounding it , it’s just a
reflection on our required change in mentality going through this rural immersion phase….
mein aur mera Pulsaar aksar ye baten karte hain…
ReplyDelete“Ye garibi kaise mitaye? Ye garibi kaise hataye ?”
Sombodhi i think you are hitting some one below the BELT
No Bhai... dis is jus an honest effort to explore DDS and my experiential learning... Pulsar here signifies progress and speed of thought....
Deletemujhe nahin samjha...difficult hain
ReplyDeletekya nahin saamjha? d post? or d concept?
ReplyDeleteI somehow ended up reading this post today!!!its a total killer....re - post it...
ReplyDelete